MS Word Features In Hindi - एमएस वर्ड के फीचर्स
MS Word duniya ke sabse famous software programose ek hai. Jisaka istemal Duniya me lakho karyalay , Offices , Collage ke dastaveg banane , padhane aur smpadit karane ke liye kiya jata hai. Bahut sare log isaka istemal karate hai lekin kafi logo ko isake sare features ke bare nahi pata. Is blog me hum MS Word ke features ke bare me janenge.
Text And Styles ( पाठ और शैलियाँ ) :
Microsoft Word ye word processor hai jo ki Text ke adharit document banane ke liye istemal kiya jata hai. MS word me aise bahut sare styles , color avilable jo aap text ko de sakate hai. Aap apna manchaha color use kar sakte hai. Isake sath MS word me text ki size select kar sakate hai. MS word me heading aur subheading bhi select kar sakate hai jisame heading ke hisab se font automatic select hota hai. Isake sath kisi bhi text ko bold aur alag alag font type bhi select kar sakate hai.
Saving and Printing (बचत और मुद्रण) :
MS Word me file document banane ke bad use bad me use karane ke liye ya to save kiya jata hai aur share kiya jata hai. MS word me document ko different format me save kiya ja sakta hai , jise different software se anukul ho. MS word ke naye version ne MS Word ke cloud me bhi document ko save kiya ja sakate hai. MS Word ka istemal karake atyadhunik printer ke sath isaka print nikala ja sakata hai. Printing ki setting karake black and white and coloured printing bhi nikala ja sakata hai.
Cloud And Local Support ( Cloud और स्थानीय समर्थन ):
MS Word me kisi bhi document ko banane ke bad use local machine me save kiya ja sakata tha. Lekin MS ke new feature me ise cloud me bhi save kiya ja sakata hai . Jisake falswaroop document ko browser se bhi access kiya ja sakata hai. Pehale MS Word ek program ke roop me available tha jo ki sirf local machine par hi use kiya ja sakata tha.
Convert A Bullet List To SmartArt (एक बुलेटेड सूची को स्मार्टआर्ट में बदलना ) :
MS Word me agar bullet list hai to ise smart art me easily convert kiya ja sakata hai. Jisase kisbhi list ko easily convert karane me help ho jati hai.
Built-in Collaboration (अंतर्निहित सहयोग):
MS word me pehale agar kisi document ko banaya jata tha to use ek time pe ek hi person ko edit karane ka anumati milati thi. New feature me document ko kafi sare people ko share kiya ja sakata hai. Isake sath sath multiple people same time pe same document ko edit bhi kar sakate hai.
Is blog me Ms Word ke kuch feature ke bare me bataya gaya hai. Agar aapko ye blog accha laga to please ise share kar dijiye . Thanks!
Post a Comment